10 जुलाई, 2007

Ise jaano


Ek nadi ke kinare baithna tatha behte hue jal ko dekhna,mand lehron ko dhyaan se dekhna tatha kinaaron se takrati hui lehron ki chapchap ko sunna,jal ki satah par hawaon dwara akritiyon ka banna,sandhya ki neeravta mein bansuri ka swar-hamare bheetar aur bahar ke saare shorgul ko shaant kar deta hai.zara socho-ek nadi sab kuch apne bheetar grahan kar leti hai-gande naale,laashen,......aur phir bhi kuch hi meel aage jakar wah swayam ko saaf kar leti hai.Yadi mann apni swanirmit samasyaon ka samna nahi karta,to ek saaf-spasht aur gehra mann nahi ban sakta hai.sukshm mann ka hona avashyak hai.
Phal ke udyanon tatha khule akaash mein vadyon ka samooh vadan chal raha hai,us sangeet ko khojna hai,dhyaan-purvak sunna hai-par yah to tumhe kathin lagta hai.Asaan hai ticket lekar hall mein baithna,radio ya t.v. khol lena.Darasal tum janna hi nahi chahte ki yah sab tumhaare andar hai.Use sunne ke liye tumhe samagra hona padega.Tumhaare bheetar aur bahar jo kuch ho raha hai,use bach kar nikalne mat do.Shareer ke prati sajag raho,achhi tarah se khao par kuch samay ke liye ekaant mein jao-ise gehrayi aur vyapakta se pravahit hone ke liye avsar pradaan karo.

Bahut kam logon ko apne antarik parivartanon,dwandon aur vikritiyon ka bodh hota hai aur yadi ve isse avgat bhi hote hain to usse door bhagne ki koshish karte hain.Hum sab satah par hi jeete hain aur bahut thode se hi santusht ho jaate hain.Hamein us pal ko hasil karna hai jo satya hai,shakti hai,samadhaan hai-krodh,irshya,dvesh,ghrina,lobh,bhautikta se pare.

Hamesha yaad rakho- "main hoon".Parantu maansik roop se vinamra bano.Majboot aur sudridh hone mein shakti nahi balki lacheela hone mein shakti chupi hai.Aandhi-toofan mein lacheele ped hi khade rah paate hai isliye ek phuteele mann ki shakti prapt karo,kyun ke jaal mein mat pado.

09 जुलाई, 2007

Sapne hain to haqeeqat hai


Main wo humsafar hoon jisne apne liye khwahishon ki zameen nahi dekhi.Sapnon ka saudagar bankar ghoomti rahi.kisi ne sapne lekar muh par darwaza band kar diya,kisi ne sapnon ki potli phaad di...Main to hamesha bedakhal tadipaar kar di jaati hoon,par jahan jaun registaan se paani nikaal leti hoon.


Mere phate jhole se sapne churane walon ko takleef hoti hai,mujhe nahi kyunki phate jhole se bhi na mere sapne girte hain na kahin khote hain.


Takleef kyun hoti hai? - hum aksar un darwazon ko khatkhatate hain jo hamare liye nahi hote, hamare liye nahi khulte.Jo shakhs dwaar khol kar hamari prateeksha karta hai - hum wahan jaana hi nahi chahte yun kahen uski ehmiyat nahi samajhte...

दौड़ जारी है...

 कोई रेस तो है सामने !!! किसके साथ ? क्यों ? कब तक ? - पता नहीं ! पर सरपट दौड़ की तेज़, तीखी आवाज़ से बहुत घबराहट होती है ! प्रश्न डराता है,...