06 जून, 2007

31st May, 2007 - Passing out parade..










Subah 5 baje, parade ground tak jaate laga " prabhat pheri " sa ehsaas.



Main , Khuhsboo, Anku, Vini aur Mehboob - ek vishwaas ki jeeti jaagti tasveer, saavdhaan mudra me hamara intezaar kar rahi thi.



Teen din pahle se Manju di, Naveen da, Neelam di, Munnu bhaiya, Bhabhi phone kar ke mere dil ka jaayza le rahe the.



Amma ka zikr kya? Uski to saans saans bajrang bali ke aage natmastak thi " Meri minni ko khushi mili..." Renu di ya bhaisahab ne ek baar bhi yaad nahi kiya. Nikalne ke purva maine sabko msg kiya, phir renu di ka bhi jawab aaya " badhai ho ."



Meri aankho ke aage mera paplu khada tha, yun kahun ki har chehra "paplu" jaisa tha. Saamne se march karte hue sab aage badh rahe the, main sabko dekh rahi thi to vini ne kaha " wo hai mikku, maine photo le liya hai ", phir dikha mujhe mikku aur maine bhagwaan ko yaad kiya. Super demona, jaguar, sukhoy ke gujarne se pura shareer romaanchit tha. Antim pag ki disha me badhta hua group mikku ka tha aur na chahte hue bhi yaad aaya 24 may (thursday) jab mikku hua, 31st may (thursday) jab mikku ko s.k ne meri god se chhina aur ye 31st may (thursday) jab mera mikku dheeme kadmo se army band ki goonj me antim pag par tha aur.....maine khushi ke aansuon se apne badon ko apna pranaam bheja. Dil ne kaha " gali mein aaj chaand nikla "...



Saare squadron ke 6th termers shor macha rahe the, paseene se tar batar. Vini, khushboo har drishya ko samet lene ki koshish me lage the. Maine mikku ko gale se lagaya. Phir gentleman cadet ko lekar main lauti. Amma se baat hui, Munnu bhaiya - Bhabhi, Manju di - Naveen da, Neelam di sab ne baat ki. Naveen da ne msg bhi kiya " sach hue sapne tere ".. Bhaisahab, Anna ne mikku ko msg kiya, Belu ne khushboo ko, Raina ne mujhe phone kiya, Mujhe aur mikku ko orkut par badhai bhi di, Manu ne msg kiya. Pratyek khushi ke darmiyaan is baat ki takleef rahi ki renu di ne ek baar bhi khud se yaad kar ke kabhi msg nahi kiya, na hi phone. Meri zindagi ki pahli uplabdhi thi yah..khair..



Barso ka sapna saakar ho kar meri aankhon ke aage tha. Main Mikku, Kutu, Anku ki safalta par khushi me ye hi ga rahi thi " Na padta dikhayi yadi ho kinara, agar ho gai aaj pratikool dhara, shudit vyaghra sa shubdh sagar garajta, agar andh toofan kartaal bajta, are shok mat kar samajh bhaagya jaage "



Ghabra kar maine khud se hamesha yahi kaha aur inhi panktiyon ki jeet hamesha hui hai aur hamesha hogi. 2 june ko manu ke saath p.o.p aur anku ke result ko celebrate kiya. Manu ne khoon kharaabe wali film dikhayi shoot out at lokhandwala, chowmein, uttapam, dhokla chaat ke saath.



Is baat ka mujhe bahut garv hua ki jis jagah par papa apne bete ke saath the, us jagah par unki kareji beti unke naati ke saath thi. Meri har kaamyabi mere ghar waalon ki kaamyaabi hai, maine hamesha yahi maana hai aur yahi meri jeet hai.

1 टिप्पणी:

ख्वाबों का कुंभ

 ख्वाबों का कुंभ क्या लगा मेरे सारे ख्वाब मचल उठे हमें भी डुबकी लगानी है । मैंने कहा भी, बड़ी भीड़ होगी ख्वाबों की कहीं तुम गुम न हो जाओ, या फ...